Motor way incident - Things to ponder upon

Rat k do bje lahore shehar me motorway pe ak wakiya paish ata hai, rat k andhere me do admi ak aurat ko uske bchon k samne molest krte hain or koi ye sb rok ni pata, is sab ki wja kya hai, police ahlkaron ki na ahli, motorway pr mojood nakis security, judicial system ki absence, Mulk me emergency ahlkaron ki susti, CCPO ki apni zimedari se subakdoshi, taleemi idaron ki kilat

Khatoon k mutabik unki gadi me petrol khtm hone pr kareeb ded bje wo motor way police helpline 130 pr inform kr k madad talab krti hain or unhen ye keh kr inkar kr dia jata hai k Carol ghati or thana gujjarpura motorway police ki hadood me ni ata. Ye weshat zada wakiya 3 massom bchon ki ankhon k samne kareeb do bj k pandra minute se le k do bj k pentalis minute tk chalta hai k wahan ak shehri ki gadi aa kr rukti hai aurat apni jaan bcha k gadi ki tarf bhagti hai or ak admi usey uske bazo se khinch leta hai.

Aam shehri k mutabik wo 15 pr call krta hai or 5 minute k andr dolphin ahlkar aa jate hain. Ye dardnaak wakiya dolphin ahlkaron k aney se pehle kareeb ada pona ghanta chalta hai pr wahan pr koi ni ata, helpline pr inform krne k bawajood koi police ahlkar ak akeli aurat jis k hamrah teen bchey hain uski madad krne ni ata. Ye bat kis kadar sharamnak hai k Lahore shehar ki sb se mashoor road motor way pr kisi kisam ki koi security patrolling ni hai, kreeb 90km Lahore Sialkot motorway abi tk Pakistan national highway and motorway authority k hawale officially ni ki gye kyu k ye sarak link road hai jo k 6 maah pehle tamir ki gye hai.

Kya ye baten dil dehla dene wali ni hain or hmari authorities ko zrort kis bt ki hai srf is sanehe k liye  ak committee bna di jaye mulziman ko pkrney k liye.

·         Nhi zarort to is bt ki hai k aise areas identify kren jahan pr security majood ni hai or wahan patrolling brhayen, aj ak jga jo manzare aam pr aa gye hai srf udr security brhane ki zarort ni hai,

·         zarort hai aise ahlkaron ko nikal bahir krne ki jo authority hotey huway victim blaming kr rhey hain k GT road se kyu ni gyin, ye kese ahlkar hain, wese to me b unki bt se agree karun ge jb tk is kisam k police afsaran hain hmen mazeed muhatat ho jana chaiye hmen yahi expect krna chaiye k hmen kisi kisam ki security ni miley ge hm apne ghr ki sarak pr b mehfooz ni hain, aise ahlkar jin se jb madad talab ki jaye wo apko help krne ya relevant helpline btane k apni zimedari se hath dho lete hain kyu k gujjarpura, motorway poice ki hadood me ni hai, aise officers jo srf tb pohnchtey hain jb kisi ka murder ho jata hai ya rape ho jata hai, jb kisi ka sunsan sarak pr petrol khtm ho jata hai tb ye apni duty ni smjhtey.

·         Ak report k mutabik suspect no. 1 Abid Ali pr 2013 se 2017 tk 7 cases chl rhey they jinme do gang rapes b they or wo abi abi bail pr jail se chuta tha. Kya aise darinde ko jail se rihai de deni chaiye thi. Kya ab dubara yai ho ga chnd paison k aiwaz ye darinda phr chut jaye ga kch or lrkion or bchiyon ko apni hiwas ka nishana bnane k liye. Ye darinde abi tk bahir ghum rhey hain.

·         Aise admi ko to pehle hi sansar kr dena chaiye tha bdey afsos se muje kehna pr rha hai is jurm ko krne wale se zada juram hmarey judicial system ka hai kyu k wo to zehni mareez hai, wo to insan hai hi ni, uska to taleem se koi taluk hi ni hai usey to kisi ne ghlt sahi ki tameez ni btai, aise darinde ko dubara darindgi dikhane k liye bahir khula chodne waley to hm hain. Hm as a society fail ho chuke hain.

·         Ab zarort is bt ki hai k hm apni ghltiyon se seekhen, aam shehri ka haq ada kren, in mulzaman ko aisi ibratnaak sza di jaye k ainda koi aisa krne se pele das hazard dfa sochey kanooni zuban me isey deterrent punishment kha jata hai. Gen Ziya ul haq k dor me ak mulzim ko ak bchey ko molest or murder k jurm me publicly execute kiya gya tha or bodies ko  soraj k gharoob hone tk hang kiya tha. Jis k bad agle das saal bchon ki molestation or murder ka koi case samne ni aya. Hath katne, sansar krne ki szayen Hazoor (SAW) diya krte they is liye ye behtreen solution hai is masle ko hal krne k liye.

Umeed hai hmarey leaders is wakiyey se kch seekhen ge or hmari khawateen ko ak safe environment provide krne me kamyab hn ge.


Comments

Post a Comment