Posts

Motor way incident - Things to ponder upon

Rat k do bje lahore shehar me motorway pe ak wakiya paish ata hai, rat k andhere me do admi ak aurat ko uske bchon k samne molest krte hain or koi ye sb rok ni pata, is sab ki wja kya hai, police ahlkaron ki na ahli, motorway pr mojood nakis security, judicial system ki absence, Mulk me emergency ahlkaron ki susti, CCPO ki apni zimedari se subakdoshi, taleemi idaron ki kilat Khatoon k mutabik unki gadi me petrol khtm hone pr kareeb ded bje wo motor way police helpline 130 pr inform kr k madad talab krti hain or unhen ye keh kr inkar kr dia jata hai k Carol ghati or thana gujjarpura motorway police ki hadood me ni ata. Ye weshat zada wakiya 3 massom bchon ki ankhon k samne kareeb do bj k pandra minute se le k do bj k pentalis minute tk chalta hai k wahan ak shehri ki gadi aa kr rukti hai aurat apni jaan bcha k gadi ki tarf bhagti hai or ak admi usey uske bazo se khinch leta hai. Aam shehri k mutabik wo 15 pr call krta hai or 5 minute k andr dolphin ahlkar aa jate hain. Ye dardnaak wakiy...

Feminism or Islam

Raat k kareeb 2 bj rhey hain, or muje lg ra hai mera dil dukh se phat jaye ga ye kya ho rha hai or hm itne bebas kyu hain, isi gehri kaali rat me hmari maon behno ko koi molest kr k chla jata hai lekn swaye afsos k hmare pas kch b ni hai, kyu hamare hath bndhey huway hain Kya ye wahi sarzameen hai jis k liye hmari maon behnon ne qurbaniyan di hain, kya ye wahi zameen hai jo aj b unke khoon sa rangi hai. Kya hm azad hain. Kya ye azadi hai, kya aj ki aurat azad hai. Me apni takleef ko bayan ni kr skti or muje ye b andaza hai k meri takleef un bachon ki takleef se kitni km hai jinhon ne apni maa k sth ye sb hote huway dekha hai, Kbi kisi ne socha hai k ye sb kch jo hua hai ye us aurat k sth ak br ni hua ye hr rat uske sth ho ga or hr rat ye wehshat uske bchey mehsoos kren ge. Ye kesa mashra hai jahan pr aj ki aurat safe ni hai. Jahan aurat k sth hone wali hr zyati uska apna kasoor hai kyu k wo hijab ni krti, kyu k wo rt ko apne shohar k sth ni nikli is liye wo deserve krti hai k usko rape...

Corona diaries

Hey guys, hope you are doing well, wese I know thoda sa mushkil hai, corona, lock down or mausam, pr kbhi b circumstances ko itni power ni deni chaiye k wo apke mood ko define kr sken. Jb me 14 saal ki thi to meri ami ki death ho gye thi, wo bdi azeem aurat thin aj b log hm se milne atey hain or btate hain k wo kese logon ki madad kiya krti thin halake unke khud k halaat koi itne achey ni they wo bdi contented aurat thin hr situation me khush rehti thin or koshish krti thin k unke aas pas k log haste muskarate rhen. Hmen log btate hain k jis kamre se wo guzar k chali jati thin hr bande k chehre pr ak smile reh jati thi. Mera ni khyal k ye 4 5 pages me, me unki azmat smait sakti hn. Muje aj b yad hai jb me choti thi me ne unke liye mother’s day pr letter likha tha or us me likha tha k meri ami sara din school me prhati hain or phr unhi pairon pr aa kr sb k liye garmi me taza khana pkati hain us pr agr me unhen ak Thanda glass pani ka de deti hn to unki ankhon me ansoo a jate hain. Pta n...

Prologue

Me to bachpan se keh ri hn k ma Mazak krti hn pta ni log kyun samajhte hain besti karti hai Introduction k nam pr me apko ye btana chahon ge k Faiza 24 saal ki bht khush mizaj larki hai, wo hasti hai, muskarati hai, gaati hai, nachti hai, dorti hai, in sb cheezon k bawajood wo ak career oriented khatoon hai jo k duniya me bht kch achieve krna chahti hai Abi filhal surtehal ye hai k Faiza ACCA qualified hai filhal ICAEW krne ki koshishon me or ABC Limited me kam kr ri hai. Orrrrr me ye b add krna chahon ge k she did her graduation in applied accounting from oxford brookes university and also she is a distinction holder nationwide,  kehne ka maqsad ye hai k ap bdi competent bandi ka blog prhne waley hain so congratulations to you guys. Mazeed agr me apni azmat pr Roshni dalon to I am an amazing singer, meri bhabi kehti hain k me gaati hn to rongte khdey ho jate hain ab ye ni pta k khof se k saroor se, khair iske ilawa Faiza is a very caring and sensitive person or b talents hain ab d...